chaal hum sab se chal gaya suraj
chaal ham sab se chal gayā sūraj
kitnā aage nikal gayā sūraj
jalte jalte pighal bhī saktā hai
jab sunā to dahal gayā sūraj
roz kī tarah kal bhī ā.ūñgā
aaj bhī sab ko chhal gayā sūraj
sar chhapāne ko jab jagah na milī
kitne chehroñ meñ Dhal gayā sūraj
ek badlī jo paas se guzrī
rang kitne badal gayā sūraj
tah karo ḳhvāb shab sameTo ab
phir safar par nikal gayā sūraj
Dar gayā shahr ke makānoñ se
vaqt se pahle Dhal gayā sūraj
chaal hum sab se chal gaya suraj
kitna aage nikal gaya suraj
jalte jalte pighal bhi sakta hai
jab suna to dahal gaya suraj
roz ki tarah kal bhi aaunga
aaj bhi sab ko chhal gaya suraj
sar chhapane ko jab jagah na mili
kitne chehron mein Dhal gaya suraj
ek badli jo pas se guzri
rang kitne badal gaya suraj
tah karo KHwab shab sameTo ab
phir safar par nikal gaya suraj
Dar gaya shahr ke makanon se
waqt se pahle Dhal gaya suraj
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 95)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.