chand badli mein nihan tha humne ye jaana nahin
chāñd badlī meñ nihāñ thā ham ne ye jaanā nahīñ
vaqt kī tārīkiyoñ meñ ḳhud ko pahchānā nahīñ
zindagī kī shorishoñ meñ vo kahāñ kaise haiñ ab
bhuul jā.eñge vo ham ko ham ne ye jaanā nahīñ
chal rahī haiñ kyoñ zamīñ pe nafratoñ kī āñdhiyāñ
ham to sab ahl-e-zamīñ haiñ koī begāna nahīñ
us ke sajde kā salīqa to nahīñ aayā mujhe
vo kamāl-e-husn hai ye raaz an-jānā nahīñ
chand badli mein nihan tha hum ne ye jaana nahin
waqt ki tarikiyon mein KHud ko pahchana nahin
zindagi ki shorishon mein wo kahan kaise hain ab
bhul jaenge wo hum ko hum ne ye jaana nahin
chal rahi hain kyon zamin pe nafraton ki aandhiyan
hum to sab ahl-e-zamin hain koi begana nahin
us ke sajde ka saliqa to nahin aaya mujhe
wo kamal-e-husn hai ye raaz an-jaana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.