chand bhi bujha Dala dil dukhane walon ne
chāñd bhī bujhā Daalā dil dukhāne vāloñ ne
kuchh uThā nahīñ rakkhā dil dukhāne vāloñ ne
ham ne ḳhastagī paa.ī dil-giraftagī paa.ī
ḳhair ham se kyā paayā dil dukhāne vāloñ ne
ḳhūb'' vaz.a-dārī hai zaḳhm-e-tāza se pahle
ham se hāl-e-dil pūchhā dil dukhāne vāloñ ne
be-qarār haiñ āñkheñ kaise ab lahū ro.eñ
ḳhushk kar diyā dariyā dil dukhāne vāloñ ne
sach kahā sadā dil ko dil se raah hotī hai
ḳhuub ham ko pahchānā dil dukhāne vāloñ ne
un kī vaj.h-e-shohrat to talḳh guftugū hī thī
kyuuñ badal liyā lahja dil dukhāne vāloñ ne
chand bhi bujha Dala dil dukhane walon ne
kuchh uTha nahin rakkha dil dukhane walon ne
hum ne KHastagi pai dil-giraftagi pai
KHair hum se kya paya dil dukhane walon ne
KHub waza-dari hai zaKHm-e-taza se pahle
hum se haal-e-dil puchha dil dukhane walon ne
be-qarar hain aankhen kaise ab lahu roen
KHushk kar diya dariya dil dukhane walon ne
sach kaha sada dil ko dil se rah hoti hai
KHub hum ko pahchana dil dukhane walon ne
un ki wajh-e-shohrat to talKH guftugu hi thi
kyun badal liya lahja dil dukhane walon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.