chand dekha ki bas wo yaad aae
chāñd dekhā ki bas vo yaad aa.e
aur āñkhoñ ne ashk barsā.e
ye qafas hai ki āshiyāñ to nahīñ
jī qafas meñ na kaise ghabrā.e
mujh ko āḳhir qafas meñ lā Daalā
vaah sayyād-e-sā.iburrā.e
din-dahāḌe Darāte rahte haiñ
āj-kal ḳhud mujhe mire saa.e
mujh ko apnā banā ke chhoḌ diyā
tum ne ye kyā ġhazab kiyā haa.e
chand dekha ki bas wo yaad aae
aur aankhon ne ashk barsae
ye qafas hai ki aashiyan to nahin
ji qafas mein na kaise ghabrae
mujh ko aaKHir qafas mein la Dala
wah sayyaad-e-saiburrae
din-dahaDe Daraate rahte hain
aaj-kal KHud mujhe mere sae
mujh ko apna bana ke chhoD diya
tum ne ye kya ghazab kiya hae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.