chand hath mein bhar kar jugnuon ke sar kaTo aur aag par rakh do

chand hath mein bhar kar jugnuon ke sar kaTo aur aag par rakh do
Bashir Badr
MORE BYBashir Badr
chāñd haath meñ bhar kar jugnuoñ ke sar kaaTo aur aag par rakh do
momī sham.oñ kī rāneñ jab blade se khul jaa.eñ chāquoñ ke sar rakh do
maiñ bhī ik shajar hī huuñ jis pe aaj tak shāyad phuul phal nahīñ aa.e
tum mirī hathelī par ek raat chupke se barf ke samar rakh do
dhuup kā harā bajrā aag ke samandar meñ chal paḌā hameñ lene
narm-o-garm hoñToñ se band hotī palkoñ par titliyoñ ke par rakh do
chāhe koī mausam ho din ga.ī bahāroñ ke phir se lauT ā.eñge
ek phuul kī pattī apne hoñT par rakh kar mere hoñT par rakh do
merā tan daraḳhtoñ meñ is liye jhulastā hai saḳht dhuup sahtā hai
kyā ajab tum aa niklo aur mere kāñdhoñ par thak ke apnā sar rakh do
roz taar kaTne se raat ke samandar meñ shahr Duub jaatā hai
is liye zarūrī hai ik diyā jalā kar tum dil ke taaq par rakh do
chand hath mein bhar kar jugnuon ke sar kaTo aur aag par rakh do
momi shamon ki ranen jab blade se khul jaen chaquon ke sar rakh do
main bhi ek shajar hi hun jis pe aaj tak shayad phul phal nahin aae
tum meri hatheli par ek raat chupke se barf ke samar rakh do
dhup ka hara bajra aag ke samandar mein chal paDa hamein lene
narm-o-garm honTon se band hoti palkon par titliyon ke par rakh do
chahe koi mausam ho din gai bahaaron ke phir se lauT aaenge
ek phul ki patti apne honT par rakh kar mere honT par rakh do
mera tan daraKHton mein is liye jhulasta hai saKHt dhup sahta hai
kya ajab tum aa niklo aur mere kandhon par thak ke apna sar rakh do
roz tar kaTne se raat ke samandar mein shahr Dub jata hai
is liye zaruri hai ek diya jala kar tum dil ke taq par rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.