chand hai aur ek tara hai
chāñd hai aur ek taara hai
terā aur merā isti'āra hai
kyā kahūñ us ke ruḳh kī tābānī
ek bahkā huā sharāra hai
naubat-e-rah-guzar nahīñ ki abhī
terī dahlīz kā sahārā hai
kah rahā hai hadīs-e-nāz hanūz
ek shīsha ki pāra-pāra hai
āñsuoñ kī qatār aur tavīl
dāġh-e-dil aur āshkārā hai
qatra-e-surḳh barsar-e-mizhgāñ
dil risāle kā ik shumāra hai
chand hai aur ek tara hai
tera aur mera isti'ara hai
kya kahun us ke ruKH ki tabani
ek bahka hua sharara hai
naubat-e-rah-guzar nahin ki abhi
teri dahliz ka sahaara hai
kah raha hai hadis-e-naz hanuz
ek shisha ki para-para hai
aansuon ki qatar aur tawil
dagh-e-dil aur aashkara hai
qatra-e-surKH barsar-e-mizhgan
dil risale ka ek shumara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.