chand ho jis tarah sitaron mein
chāñd ho jis tarah sitāroñ meñ
munfarid hai vo māh-pāroñ meñ
jo bhī uTThī nigāh terī taraf
ho ga.ī gum hasīñ nazāroñ meñ
chhū ke dāman ko chhoḌte hī nahīñ
kitnī apnā.iyat hai ḳhāroñ meñ
maiñ bhī vaasī kisī chaman kā huuñ
mujh ko rakh phūloñ kī qatāroñ meñ
kaisā badlā hai gulsitāñ kā nizām
dekhtā huuñ ḳhizāñ bahāroñ meñ
aag meñ aaj kis ko jhoñkā gayā
phuul khilne lage sharāroñ meñ
kyoñ haqārat se dekhte ho hameñ
the kabhī ham bhī tājdāroñ meñ
jab se dil us ne merā toḌ diyā
be-sukūñ rahtā hai bahāroñ meñ
Dar hai shāyad unheñ zamāne kā
baat karte haiñ jo ishāroñ meñ
kis ne pūchhā hai hāl-e-dil 'rizvān'
chain aayā hai be-qarāroñ meñ
chand ho jis tarah sitaron mein
munfarid hai wo mah-paron mein
jo bhi uTThi nigah teri taraf
ho gai gum hasin nazaron mein
chhu ke daman ko chhoDte hi nahin
kitni apnaiyat hai KHaron mein
main bhi wasi kisi chaman ka hun
mujh ko rakh phulon ki qataron mein
kaisa badla hai gulsitan ka nizam
dekhta hun KHizan bahaaron mein
aag mein aaj kis ko jhonka gaya
phul khilne lage shararon mein
kyon haqarat se dekhte ho hamein
the kabhi hum bhi tajdaron mein
jab se dil us ne mera toD diya
be-sukun rahta hai bahaaron mein
Dar hai shayad unhen zamane ka
baat karte hain jo ishaaron mein
kis ne puchha hai haal-e-dil 'rizwan'
chain aaya hai be-qararon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.