chand jab aasman pe chalta hai
chāñd jab āsmāñ pe chaltā hai
mere dil se koī guzartā hai
thartharā.e hue laboñ se tire
dekhnā hai ki kyā nikaltā hai
koī sahrā nahīñ sarāb nahīñ
terī āñkhoñ meñ kyā chamaktā hai
phuul khilte haiñ jab bhī gulshan meñ
tū bhī aa.egā aisā lagtā hai
log baiThe haiñ band kamroñ meñ
aur saḌkoñ pe ġham bhaTaktā hai
chāñd rātoñ meñ dard jaage to
tanhā kamroñ meñ dam bhī ghuTtā hai
dil meñ jal kar jo bujh gayā 'mansūr'
zehn meñ vo charāġh jaltā hai
chand jab aasman pe chalta hai
mere dil se koi guzarta hai
thartharae hue labon se tere
dekhna hai ki kya nikalta hai
koi sahra nahin sarab nahin
teri aankhon mein kya chamakta hai
phul khilte hain jab bhi gulshan mein
tu bhi aaega aisa lagta hai
log baiThe hain band kamron mein
aur saDkon pe gham bhaTakta hai
chand raaton mein dard jage to
tanha kamron mein dam bhi ghuTta hai
dil mein jal kar jo bujh gaya 'mansur'
zehn mein wo charagh jalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.