chand jab se zamin par utra hai
chāñd jab se zamīñ par utrā hai
dil pareshāñ hai aur bahkā hai
kho diyā us ne ḳhud ko tere liye
tū jise kah rahā hai qatra hai
zaḳhm merā na kyoñ harā hotā
aañkh se phir jo 'ishq chhalkā hai
kaun samjhegā pyaas ko merī
muntazir aaj bhī ye sahrā hai
bebasī meñ ḳhushī hai chehre kī
soch kar dil pe ġham kā pahra hai
chehra utrā hai kyoñ tirā 'mohak'
kyoñ tū itnā udaas lagtā hai
chand jab se zamin par utra hai
dil pareshan hai aur bahka hai
kho diya us ne KHud ko tere liye
tu jise kah raha hai qatra hai
zaKHm mera na kyon hara hota
aankh se phir jo 'ishq chhalka hai
kaun samjhega pyas ko meri
muntazir aaj bhi ye sahra hai
bebasi mein KHushi hai chehre ki
soch kar dil pe gham ka pahra hai
chehra utra hai kyon tera 'mohak'
kyon tu itna udas lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.