chand ka aks tah-e-ab chamakta dekho
chāñd kā 'aks tah-e-āb chamaktā dekho
yuuñ bhī dard-e-dil-e-betāb chamaktā dekho
jaane kis raah pe rātoñ ke musāfir nikleñ
koī ḳhurshīd dam-e-ḳhvāb chamaktā dekho
jahl ne toḌ diye ahl-e-tadabbur ke subū
sāġhar-e-‘asr meñ zahrāb chamaktā dekho
kal mile yā na mile fikr-e-ma’īshat se najāt
aaj kī raat to mahtāb chamaktā dekho
par kisī shahr-e-tarab-nāk ko jaatā hai ḳhayāl
phir koī gul-kada-e-ḳhvāb chamaktā dekho
hai pare narġha-e-zulmat se zamāna apnā
ufuq-e-fikr-e-jahāñ-tāb chamaktā dekho
shahr-e-ehsās ke har moḌ pe rāteñ haiñ 'urūj'
shahr-e-ehsās kā har baab chamaktā dekho
chand ka 'aks tah-e-ab chamakta dekho
yun bhi dard-e-dil-e-betab chamakta dekho
jaane kis rah pe raaton ke musafir niklen
koi KHurshid dam-e-KHwab chamakta dekho
jahl ne toD diye ahl-e-tadabbur ke subu
saghar-e-‘asr mein zahrab chamakta dekho
kal mile ya na mile fikr-e-ma’ishat se najat
aaj ki raat to mahtab chamakta dekho
par kisi shahr-e-tarab-nak ko jata hai KHayal
phir koi gul-kada-e-KHwab chamakta dekho
hai pare nargha-e-zulmat se zamana apna
ufuq-e-fikr-e-jahan-tab chamakta dekho
shahr-e-ehsas ke har moD pe raaten hain 'uruj'
shahr-e-ehsas ka har bab chamakta dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.