chand ka nur sitaron ki ziya ban jaun
chand ka nur sitaron ki ziya ban jaun
Yadgar Husain Nashtar Khairabadi
MORE BYYadgar Husain Nashtar Khairabadi
chāñd kā nuur sitāroñ kī ziyā ban jā.ūñ
sochtā huuñ ki tirī bazm meñ kyā ban jā.ūñ
sāz-e-dil-soz kī dil-gīr sadā ban jā.ūñ
tū bane naġhma to maiñ naġhma-sarā ban jā.ūñ
zauq-e-sajda kā taqāzā hai ki dar par tere
itnā miT jā.ūñ ki naqsh-e-kaf-e-pā ban jā.ūñ
yuuñ hī detā rahe āvāz agar dil 'nashtar'
apnī manzil kā maiñ ḳhud rāh-numā ban jā.ūñ
chand ka nur sitaron ki ziya ban jaun
sochta hun ki teri bazm mein kya ban jaun
saz-e-dil-soz ki dil-gir sada ban jaun
tu bane naghma to main naghma-sara ban jaun
zauq-e-sajda ka taqaza hai ki dar par tere
itna miT jaun ki naqsh-e-kaf-e-pa ban jaun
yun hi deta rahe aawaz agar dil 'nashtar'
apni manzil ka main KHud rah-numa ban jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.