chand kaise kisi tare mein sama jaega
chāñd kaise kisī taare meñ samā jā.egā
phir bhī ummīd ko zid hai ki vo aa jā.egā
kyā ḳhabar thī mirī rātoñ kī vo nīñdeñ le kar
jugnuoñ ko mirī palkoñ pe sajā jā.egā
ġham ke sahrā meñ bikhar jā.ūñ maiñ tinkoñ kī tarah
ek jhoñkā bhī ye tūfān uThā jā.egā
apnā har lafz utāregā mire zehn meñ phir
dil meñ jo baat chhupī hai vo bachā jā.egā
'mīnā' chhāñv kī mohabbat meñ na sarshār raho
chaḌhtā sūraj abhī saa.e ko ghaTā jā.egā
chand kaise kisi tare mein sama jaega
phir bhi ummid ko zid hai ki wo aa jaega
kya KHabar thi meri raaton ki wo ninden le kar
jugnuon ko meri palkon pe saja jaega
gham ke sahra mein bikhar jaun main tinkon ki tarah
ek jhonka bhi ye tufan uTha jaega
apna har lafz utarega mere zehn mein phir
dil mein jo baat chhupi hai wo bacha jaega
'mina' chhanw ki mohabbat mein na sarshaar raho
chaDhta suraj abhi sae ko ghaTa jaega
- Book : Jagti Aakhen (Pg. 128)
- Author : Dr. Meena Naqvi
- Publication : Aiwan-e-Adab Publishers, Delhi-6 (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.