chand ke des mein hai ji ka ziyan saudagar
chāñd ke des meñ hai jī kā ziyāñ saudāgar
mol kyā doge ġham-e-dil kā vahāñ saudāgar
ab vo agle se yahāñ misr ke bāzār nahīñ
aa ga.e shahr-e-tamannā meñ kahāñ saudāgar
dil kā har zaḳhm hai ā.īna tirī sūrat kā
tū ne dekhī nahīñ shīshoñ kī dukāñ saudāgar
har galī chup hai ki aaseb kā saaya jaise
shahr-e-dil se tirī ruḳhsat kā samāñ saudāgar
sahl itnā to nahīñ rūp-nagar se jaanā
duur tak jā.egā aahoñ kā dhuāñ saudāgar
naqd-e-jāñ aa.e haiñ bāzār meñ le kar jab se
ho ga.ī jins-e-vafā aur girāñ saudāgar
dil ke vīrān darīchoñ pe charāġhāñ 'māhir'
kaun detā hai sar-e-shām azaañ saudāgar
chand ke des mein hai ji ka ziyan saudagar
mol kya doge gham-e-dil ka wahan saudagar
ab wo agle se yahan misr ke bazar nahin
aa gae shahr-e-tamanna mein kahan saudagar
dil ka har zaKHm hai aaina teri surat ka
tu ne dekhi nahin shishon ki dukan saudagar
har gali chup hai ki aaseb ka saya jaise
shahr-e-dil se teri ruKHsat ka saman saudagar
sahl itna to nahin rup-nagar se jaana
dur tak jaega aahon ka dhuan saudagar
naqd-e-jaan aae hain bazar mein le kar jab se
ho gai jins-e-wafa aur giran saudagar
dil ke viran darichon pe charaghan 'mahir'
kaun deta hai sar-e-sham azan saudagar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.