chand ke ruKH par gahra baadal
chāñd ke ruḳh par gahrā bādal
jaise phailā aañkh kā kājal
tishna-laboñ ke jaam jo khanke
TuuT ke bikhrī mai kī botal
zaḳhmī taa.ir sā dil taḌpā
TuuTī sapnoñ kī jab paa.el
ham ko samjhā kar ḳhud royā
ye dil bhī hai kitnā pāgal
zaḳhm hamārā raushan raushan
'rāg' bujhī vishvās kī mash.al
chand ke ruKH par gahra baadal
jaise phaila aankh ka kajal
tishna-labon ke jam jo khanke
TuT ke bikhri mai ki botal
zaKHmi tair sa dil taDpa
TuTi sapnon ki jab pael
hum ko samjha kar KHud roya
ye dil bhi hai kitna pagal
zaKHm hamara raushan raushan
'rag' bujhi wishwas ki mashal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.