chand ki apni kahani raat ka qissa alag
chāñd kī apnī kahānī raat kā qissa alag
dāstān-e-ishq meñ hai tajraba sab kā alag
ajnabī ham aaj se haiñ par safar to hai vahī
sirf kah dene se hotā hai kahīñ rasta alag
ek lamha bas vahī hai aur baaqī kuchh nahīñ
zindagī saarī alag aur vasl kā lamha alag
raushnī dīpak kī sūraj chāñd kī apnī jagah
nuur se raushan tire māthe kā ye Tiikā alag
ishq ke bīmār par saarī davā.eñ be-asar
chāra-gar us kī davā kā hai zarā nusḳha alag
chalte chalte aap ne dekhā thā ham ko bas yuuñ hī
shahr meñ us din se apnā ho gayā rutba alag
chand ki apni kahani raat ka qissa alag
dastan-e-ishq mein hai tajraba sab ka alag
ajnabi hum aaj se hain par safar to hai wahi
sirf kah dene se hota hai kahin rasta alag
ek lamha bas wahi hai aur baqi kuchh nahin
zindagi sari alag aur wasl ka lamha alag
raushni dipak ki suraj chand ki apni jagah
nur se raushan tere mathe ka ye Tika alag
ishq ke bimar par sari dawaen be-asar
chaara-gar us ki dawa ka hai zara nusKHa alag
chalte chalte aap ne dekha tha hum ko bas yun hi
shahr mein us din se apna ho gaya rutba alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.