chand ki chahat mein tanha tarsegi kali raat
chāñd kī chāhat meñ tanhā tarsegī kaalī raat
yaad ke baasī phūloñ se mahkegī kaalī raat
raas rachā kar ḳhvāboñ se phir laakh raheñ ḳhāmosh
soī jaagī āñkhoñ se jhalkegī kaalī raat
kab ye chāhā rātoñ meñ sub.hoñ sā nuur ghule
lekin kab tak sub.hoñ par phailegī kaalī raat
terī yaad ko rokā mere dil ne dāman khīñch
ik duuje ke pahlū meñ bītegī kaalī raat
shaam ke ba.ad thakī haarī utrī hai kamre meñ
ab ik karvaT sub.h talak so.egī kaalī raat
pahle pahle badan churā.e aur phir khultī jaa.e
din se bhed chhupānā kab sīkhegī kaalī raat
is sāhir ke sehr meñ aanā bebas kā maqsūm
sub.h talak sūraj se khul khelegī kaalī raat
chand ki chahat mein tanha tarsegi kali raat
yaad ke basi phulon se mahkegi kali raat
ras racha kar KHwabon se phir lakh rahen KHamosh
soi jagi aankhon se jhalkegi kali raat
kab ye chaha raaton mein subhon sa nur ghule
lekin kab tak subhon par phailegi kali raat
teri yaad ko roka mere dil ne daman khinch
ek duje ke pahlu mein bitegi kali raat
sham ke baad thaki haari utri hai kamre mein
ab ek karwaT subh talak soegi kali raat
pahle pahle badan churae aur phir khulti jae
din se bhed chhupana kab sikhegi kali raat
is sahir ke sehr mein aana bebas ka maqsum
subh talak suraj se khul khelegi kali raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.