chāñd kī ḳhaak chhānte rahiye
is haqīqat ko mānte rahiye
raat mahkegī chāñdnī kī tarah
phuul juuḌe meñ Tāñkte rahiye
le ke hāthoñ meñ dard kā kashkol
aas kī bhiik māñgte rahiye
chāñd dhartī ko chuum le shāyad
dil ke rauzan se jhāñkte rahiye
haath aa jā.egī gagan kī patang
Dor se Dor bāñdhte rahiye
chāhe motī mileñ na sahrā se
dard kī ret chhānte rahiye
dard-e-dil kā yahī mudāvā hai
har masarrat ko bāñTte rahiye
chand ki KHak chhante rahiye
is haqiqat ko mante rahiye
raat mahkegi chandni ki tarah
phul juDe mein Tankte rahiye
le ke hathon mein dard ka kashkol
aas ki bhik mangte rahiye
chand dharti ko chum le shayad
dil ke rauzan se jhankte rahiye
hath aa jaegi gagan ki patang
Dor se Dor bandhte rahiye
chahe moti milen na sahra se
dard ki ret chhante rahiye
dard-e-dil ka yahi mudawa hai
har masarrat ko banTte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.