chand ko jugnu ne di saughat hai
chāñd ko jugnū ne dī sauġhāt hai
apne apne hausle kī baat hai
niiñd kā mausam na aaya is taraf
apnī to āñkhoñ meñ kaTtī raat hai
kaun royā hai yahāñ kal raat bhar
zard pattoñ par huī barsāt hai
tū ḳhudā se maañg le jo māñgnā
aadmī se miltī bas ḳhairāt hai
lafz lagte haiñ mahakne us ghaḌī
jis ghaḌī vo 'sarv' hotā saath hai
chand ko jugnu ne di saughat hai
apne apne hausle ki baat hai
nind ka mausam na aaya is taraf
apni to aankhon mein kaTti raat hai
kaun roya hai yahan kal raat bhar
zard patton par hui barsat hai
tu KHuda se mang le jo mangna
aadmi se milti bas KHairaat hai
lafz lagte hain mahakne us ghaDi
jis ghaDi wo 'sarw' hota sath hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.