chand ko le kar chali gai hai dur kahin baraat bahut
chāñd ko le kar chalī ga.ī hai duur kahīñ bārāt bahut
ham bhī chalo ab so jaa.eñ ki biit ga.ī hai raat bahut
sāvan meñ ġhazab kā sūkhā thā huī chait meñ hai barsāt bahut
rishtoñ kī jagah un rishtoñ kī ab hone lagī hai baat bahut
jā pahuñche log to manzil par maiñ ḳhush huuñ ab tak safar meñ huuñ
ki mere liye ai jān-e-ġhazal hai haath meñ terā haath bahut
kuchh log hamārī bastī meñ aa ga.e haiñ sakte meñ sun kar
ki vo jo kal tak gūñge the ab karne lage haiñ baat bahut
soch-samajh kar baat kiyā kar ai sultān faqīroñ se
ho saktā hai kisī faqīr kī nikal aa.e auqāt bahut
daulat vāloñ kī hai shohrat shohrat vāloñ kī daulat
izzat se haiñ ham bastī meñ ye hī baḌī hai baat bahut
do roz judā.ī ke tujh se itnī to baḌī koī baat nahīñ
barsoñ se bhī lambe dekhe haiñ ham ne to 'salīl' din-rāt bahut
chand ko le kar chali gai hai dur kahin baraat bahut
hum bhi chalo ab so jaen ki bit gai hai raat bahut
sawan mein ghazab ka sukha tha hui chait mein hai barsat bahut
rishton ki jagah un rishton ki ab hone lagi hai baat bahut
ja pahunche log to manzil par main KHush hun ab tak safar mein hun
ki mere liye ai jaan-e-ghazal hai hath mein tera hath bahut
kuchh log hamari basti mein aa gae hain sakte mein sun kar
ki wo jo kal tak gunge the ab karne lage hain baat bahut
soch-samajh kar baat kiya kar ai sultan faqiron se
ho sakta hai kisi faqir ki nikal aae auqat bahut
daulat walon ki hai shohrat shohrat walon ki daulat
izzat se hain hum basti mein ye hi baDi hai baat bahut
do roz judai ke tujh se itni to baDi koi baat nahin
barson se bhi lambe dekhe hain hum ne to 'salil' din-raat bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.