chand ko pura hone do
chāñd ko puurā hone do
bahtī nadī ko sone do
shaam kī tarah udāsī ko
aur bhī gahrā hone do
kisī diye ke saa.e meñ
āsmāñ ko sone do
sapnā agar ugānā hai
jāgtī āñkheñ bone do
aao lipaT ke so jaa.eñ
jo hotā hai hone do
ujle tan kī lahroñ meñ
raat ke rañg samone do
umr kī saada Dorī meñ
saare phuul pirone do
patthar hotā jaatā huuñ
hañsne do yā rone do
tum meñ jaag rahā huuñ maiñ
mujh ko ḳhud meñ sone do
chand ko pura hone do
bahti nadi ko sone do
sham ki tarah udasi ko
aur bhi gahra hone do
kisi diye ke sae mein
aasman ko sone do
sapna agar ugana hai
jagti aankhen bone do
aao lipaT ke so jaen
jo hota hai hone do
ujle tan ki lahron mein
raat ke rang samone do
umr ki sada Dori mein
sare phul pirone do
patthar hota jata hun
hansne do ya rone do
tum mein jag raha hun main
mujh ko KHud mein sone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.