chand kohre ke jaziron mein bhaTakta hoga
chāñd kohre ke jazīroñ meñ bhaTaktā hogā
raqs-gāh meñ tū ne malbūs utārā hogā
yak-ba-yak chīḳh uThe chaar dishāoñ kā sukūt
zard din meñ kabhī aisā ho to phir kyā hogā
the vo darmāñda-e-shab jaag ke phir sote the
shahr-e-zulmāt hai kab is meñ saverā hogā
aañkh ke kaale gaḌhoñ meñ vo giraftār the sab
kis ne girte ho.uuñ ko haath se thāmā hogā
sañg-o-āhan kī fasīloñ pe sharāre lapke
ḳhuun alfāz kī rag rag ne uchhālā hogā
le ga.ī bahtī havā duur bahut duur mujhe
tū ne ghar ghar mujhe bekār talāshā hogā
ka.ī dīvāreñ huī haiñ pas-e-dīvār khaḌī
phir koī soḳhta-dil raat ko chīḳhā hogā
mauj-dar-mauj hai an-dekhe jazīroñ kā fusūñ
tū ne shab bhar mujhe sāhil pe pukārā hogā
shahr kī saḌkoñ pe ye ghūmte kaale jañgal
gher leñ mujh ko ye har samt se phir kyā hogā
bahr to bahr hai rū-posh hue dasht-o-jabal
kyā ḳhabar thī ye mere jism kā saayā hogā
tum bhalā mujh se ḳhafā ho ke kahāñ jāogī
shahr kī galiyoñ meñ is vaqt añdherā hogā
chand kohre ke jaziron mein bhaTakta hoga
raqs-gah mein tu ne malbus utara hoga
yak-ba-yak chiKH uThe chaar dishaon ka sukut
zard din mein kabhi aisa ho to phir kya hoga
the wo darmanda-e-shab jag ke phir sote the
shahr-e-zulmat hai kab is mein sawera hoga
aankh ke kale gaDhon mein wo giraftar the sab
kis ne girte houn ko hath se thama hoga
sang-o-ahan ki fasilon pe sharare lapke
KHun alfaz ki rag rag ne uchhaala hoga
le gai bahti hawa dur bahut dur mujhe
tu ne ghar ghar mujhe bekar talasha hoga
kai diwaren hui hain pas-e-diwar khaDi
phir koi soKHta-dil raat ko chiKHa hoga
mauj-dar-mauj hai an-dekhe jaziron ka fusun
tu ne shab bhar mujhe sahil pe pukara hoga
shahr ki saDkon pe ye ghumte kale jangal
gher len mujh ko ye har samt se phir kya hoga
bahr to bahr hai ru-posh hue dasht-o-jabal
kya KHabar thi ye mere jism ka saya hoga
tum bhala mujh se KHafa ho ke kahan jaogi
shahr ki galiyon mein is waqt andhera hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.