chand nadi mein ubhra hoga
chāñd nadī meñ ubhrā hogā
aur samundar jaltā hogā
hañste hañste yaad aayā hai
koī kahīñ par rotā hogā
pyāse mat lauTo sāhil se
naam nadī kā rusvā hogā
barsoñ ba.ad khulī hai khiḌkī
kaun galī meñ aayā hogā
jab ham tum paas aa jā.eñge
apne biich zamāna hogā
saa.e se bāteñ karne vaalā
socho kitnā tanhā hogā
us kashtī par kyā guzregī
jis ke haq meñ sahrā hogā
dīvāroñ par dhuul nahīñ hai
ghar meñ koī rahtā hogā
chand nadi mein ubhra hoga
aur samundar jalta hoga
hanste hanste yaad aaya hai
koi kahin par rota hoga
pyase mat lauTo sahil se
nam nadi ka ruswa hoga
barson baad khuli hai khiDki
kaun gali mein aaya hoga
jab hum tum pas aa jaenge
apne bich zamana hoga
sae se baaten karne wala
socho kitna tanha hoga
us kashti par kya guzregi
jis ke haq mein sahra hoga
diwaron par dhul nahin hai
ghar mein koi rahta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.