chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein
chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein
Mushaf Iqbal Tausifi
MORE BYMushaf Iqbal Tausifi
chāñd ne apnā diip jalāyā shaam bujhī vīrāne meñ
us kī bastī duur hai shāyad der hai us ke aane meñ
kyā patthar kī bhārī sil hai ek ik lamha maazī kā
dekho dab kar rah jāoge itnā bojh uThāne meñ
us ko nahīñ dekhā hai jis ne mujh ko bhalā kyā samjhegā
in āñkhoñ se guzarnā hogā mere dil tak aane meñ
apnī zaat se kuchh nisbat thī vo bhī is kī ḳhātir se
merā zikr nahīñ miltā hai ab mere afsāne meñ
ek hī dukh thā merā apnā vo bhī is ko sauñp diyā
āḳhir dil kī baat zabāñ tak aa hī ga.ī anjāne meñ
ab to tum bhī jaan ga.ī ho tum ko kyā sukh miltā thā
mere ghar ke kaam meñ merī maañ kā haath baTāne meñ
merī rātoñ meñ mahke haiñ jo sapnoñ kī Daalī se
rañg hai in phūloñ kā shāmil aaj tire sharmāne meñ
jis se baat bhī karnī mushkil vo bhī is mahfil meñ hai
'mus.haf' kaisā lutf rahegā us ko sher sunāne meñ
chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein
us ki basti dur hai shayad der hai us ke aane mein
kya patthar ki bhaari sil hai ek ek lamha mazi ka
dekho dab kar rah jaoge itna bojh uThane mein
us ko nahin dekha hai jis ne mujh ko bhala kya samjhega
in aankhon se guzarna hoga mere dil tak aane mein
apni zat se kuchh nisbat thi wo bhi is ki KHatir se
mera zikr nahin milta hai ab mere afsane mein
ek hi dukh tha mera apna wo bhi is ko saunp diya
aaKHir dil ki baat zaban tak aa hi gai anjaane mein
ab to tum bhi jaan gai ho tum ko kya sukh milta tha
mere ghar ke kaam mein meri man ka hath baTane mein
meri raaton mein mahke hain jo sapnon ki Dali se
rang hai in phulon ka shamil aaj tere sharmane mein
jis se baat bhi karni mushkil wo bhi is mahfil mein hai
'mushaf' kaisa lutf rahega us ko sher sunane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.