chand nikla tha pare baam se pahle pahle
chāñd niklā thā pare baam se pahle pahle
us galī bhuul paḌe shaam se pahle pahle
bojh ik dil pe liye sub.h se ranjīda huuñ
bhar liye ashk tire jaam se pahle pahle
tujh se vābasta haiñ ummīd ke saa.e saa.e
ḳhvāb to dekh leñ anjām se pahle pahle
shoḳh rangoñ se machaltā hai bahaktā bādal
kaam āsān hai ālām se pahle pahle
bū-e-gul phail chalī hai mire afsāne kī
naam aa.egā tire naam se pahle pahle
soch terī hai masāfat kī tavālat merī
ek lamhe ko mileñ kaam se pahle pahle
chand nikla tha pare baam se pahle pahle
us gali bhul paDe sham se pahle pahle
bojh ek dil pe liye subh se ranjida hun
bhar liye ashk tere jam se pahle pahle
tujh se wabasta hain ummid ke sae sae
KHwab to dekh len anjam se pahle pahle
shoKH rangon se machalta hai bahakta baadal
kaam aasan hai aalam se pahle pahle
bu-e-gul phail chali hai mere afsane ki
nam aaega tere nam se pahle pahle
soch teri hai masafat ki tawalat meri
ek lamhe ko milen kaam se pahle pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.