chand nikla to samundar ki hawa tez hui
chāñd niklā to samundar kī havā tez huī
dard kuchh aur baḌhā raat junūñ-ḳhez huī
phir mire dil meñ udāsī kā diyā jalne lagā
phir tirī yaad ko tanhā.ī kī mahmez huī
jaise be-vaj.h kisī baat pe dil bhar aa.e
chashm-e-pur-ḳhūñ usī andāz se labrez huī
nā-rasā.ī kī thakan aur vo tanhā.ī kī raat
ik bayābāñ kī masāfat thī balā-ḳhez huī
shahr-e-gul-rang meñ zaḳhmoñ kā sulagtā mausam
āsmāñ surḳh fazā aur bhī gul-rez huī
lashkarī din ko bhī nikle the kamīñ-gāhoñ se
haañ magar jang bahut shaam ko ḳhūñ-rez huī
mil ga.e ḳhaak meñ jab chāñd sitāre se log
tab kahīñ jā ki ye miTTī mirī zarḳhez huī
chand nikla to samundar ki hawa tez hui
dard kuchh aur baDha raat junun-KHez hui
phir mere dil mein udasi ka diya jalne laga
phir teri yaad ko tanhai ki mahmez hui
jaise be-wajh kisi baat pe dil bhar aae
chashm-e-pur-KHun usi andaz se labrez hui
na-rasai ki thakan aur wo tanhai ki raat
ek bayaban ki masafat thi bala-KHez hui
shahr-e-gul-rang mein zaKHmon ka sulagta mausam
aasman surKH faza aur bhi gul-rez hui
lashkari din ko bhi nikle the kamin-gahon se
han magar jang bahut sham ko KHun-rez hui
mil gae KHak mein jab chand sitare se log
tab kahin ja ki ye miTTi meri zarKHez hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.