chand nikla to teri yaad aai
chāñd niklā to terī yaad aa.ī
dil ko Dasne lagī hai tanhā.ī
dard letā hai dil meñ añgḌā.ī
phir usī bevafā kī yaad aa.ī
kaisā sāvan hai ye tumhāre bin
dil ko bhātī nahīñ hai purvā.ī
vo tasavvur meñ aise aate haiñ
duur bajtī ho jaise shahnā.ī
terā chehrā ki jaise jhīl-kañval
chāñdnī tujh ko dekh sharmā.ī
dil ko phir yaad aa ga.ī us kī
dard lene lagā hai añgḌā.ī
vo na ghar aa sake 'vajāhat' ke
yaad un kī magar bahut aa.ī
chand nikla to teri yaad aai
dil ko Dasne lagi hai tanhai
dard leta hai dil mein angDai
phir usi bewafa ki yaad aai
kaisa sawan hai ye tumhaare bin
dil ko bhati nahin hai purwai
wo tasawwur mein aise aate hain
dur bajti ho jaise shahnai
tera chehra ki jaise jhil-kanwal
chandni tujh ko dekh sharmai
dil ko phir yaad aa gai us ki
dard lene laga hai angDai
wo na ghar aa sake 'wajahat' ke
yaad un ki magar bahut aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.