chand niklega to ghar ghar mein ujale honge
chāñd niklegā to ghar ghar meñ ujāle hoñge
chāñdnī raat meñ sab raushnī vaale hoñge
manzil-e-shauq pe chamkeñge jo motī kī tarah
vo musāfir ke thake paañv ke chhāle hoñge
hote labrez to rah rah ke chhalakte kaise
dar-haqīqat vo sabhī ḳhālī piyāle hoñge
ḳhuun jis vaqt siyāhī se bhī sastā hogā
ḳhuun se chhāpe hue ġham ke risāle hoñge
aap ke pīchhe vahī log paḌeñge ik din
aap barsoñ jinheñ āġhosh meñ paale hoñge
tum jo nafrat kī siyāhī se likhoge tārīḳh
us ke alfāz bhī safhāt bhī kaale hoñge
maslahat thī ki baras paa.e na kaale bādal
charḳh ne faisle kuchh soch ke Taale hoñge
jhuuT ko jhuuT 'qamar' kaun karegā sābit
haq-parastoñ kī zabānoñ pe jo taale hoñge
chand niklega to ghar ghar mein ujale honge
chandni raat mein sab raushni wale honge
manzil-e-shauq pe chamkenge jo moti ki tarah
wo musafir ke thake panw ke chhaale honge
hote labrez to rah rah ke chhalakte kaise
dar-haqiqat wo sabhi KHali piyale honge
KHun jis waqt siyahi se bhi sasta hoga
KHun se chhape hue gham ke risale honge
aap ke pichhe wahi log paDenge ek din
aap barson jinhen aaghosh mein pale honge
tum jo nafrat ki siyahi se likhoge tariKH
us ke alfaz bhi safhat bhi kale honge
maslahat thi ki baras pae na kale baadal
charKH ne faisle kuchh soch ke Tale honge
jhuT ko jhuT 'qamar' kaun karega sabit
haq-paraston ki zabanon pe jo tale honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.