chand ojhal ho gaya har ek sitara bujh gaya
chāñd ojhal ho gayā har ik sitārā bujh gayā
āñdhiyāñ aisī chalīñ phir dil hamārā bujh gayā
ab to ham haiñ aur samundar aur havā.eñ aur raat
duur se kartā thā jhilmil ik kinārā bujh gayā
ghūrte haiñ log baiThe kyā ḳhalāoñ meñ ki ab
har ishāra bujh gayā hai har sahārā bujh gayā
har nazar ke sāmne ab be-karāñ pahlī sī riit
jagmagātā baat kartā dasht saarā bujh gayā
jam ga.ī hai barf kaisī har taraf logo yahāñ
raakh tak ThanDī paḌī kyā kyā sharārā bujh gayā
shahr chup haiñ rāste ḳhāmosh haiñ chehre udaas
bas bagūle uḌ rahe haiñ har nazārā bujh gayā
chand ojhal ho gaya har ek sitara bujh gaya
aandhiyan aisi chalin phir dil hamara bujh gaya
ab to hum hain aur samundar aur hawaen aur raat
dur se karta tha jhilmil ek kinara bujh gaya
ghurte hain log baiThe kya KHalaon mein ki ab
har ishaara bujh gaya hai har sahaara bujh gaya
har nazar ke samne ab be-karan pahli si rit
jagmagata baat karta dasht sara bujh gaya
jam gai hai barf kaisi har taraf logo yahan
rakh tak ThanDi paDi kya kya sharara bujh gaya
shahr chup hain raste KHamosh hain chehre udas
bas bagule uD rahe hain har nazara bujh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.