chand phir taron ki ujli rezgari de gaya
Interesting Fact
Vol 187, October 1995
chāñd phir tāroñ kī ujlī rezgārī de gayā
raat ko ye bhiik kaisī ḳhud bhikārī de gayā
Tāñktī phirtī haiñ kirneñ bādaloñ kī shaal par
vo havā ke haath meñ goTā kanārī de gayā
kar gayā hai dil ko har ik vāhime se be-niyāz
ruuh ko lekin ajab sī be-qarārī de gayā
shor karte haiñ parinde peḌ kaTtā dekh kar
shahr ke dast-e-havas ko kaun aarī de gayā
us ne ghāyal bhī kiyā to kaise patthar se 'nasīm'
phuul kā tohfa mujhe merā shikārī de gayā
chand phir taron ki ujli rezgari de gaya
raat ko ye bhik kaisi KHud bhikari de gaya
Tankti phirti hain kirnen baadalon ki shaal par
wo hawa ke hath mein goTa kanari de gaya
kar gaya hai dil ko har ek wahime se be-niyaz
ruh ko lekin ajab si be-qarari de gaya
shor karte hain parinde peD kaTta dekh kar
shahr ke dast-e-hawas ko kaun aari de gaya
us ne ghayal bhi kiya to kaise patthar se 'nasim'
phul ka tohfa mujhe mera shikari de gaya
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 756)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.