chand raqsan hai sitare raqsan
chāñd raqsāñ hai sitāre raqsāñ
saath rādhā ke haiñ saare raqsāñ
zarf miltā hai jahāñ dariyā meñ
bas vahīñ hote haiñ dhāre raqsāñ
paañv meñ fikr kī zanjīr liye
aaj duniyā meñ haiñ saare raqsāñ
aaj kā raqs hai raqs-e-mahfil
tum jo ho saath hamāre raqsāñ
raqs sīkhā hai bhañvar ne ham se
ham jo rahte haiñ kināre raqsāñ
raqs kartīñ haiñ nigāheñ merī
yā 'suman' haiñ ye nazāre raqsāñ
chand raqsan hai sitare raqsan
sath radha ke hain sare raqsan
zarf milta hai jahan dariya mein
bas wahin hote hain dhaare raqsan
panw mein fikr ki zanjir liye
aaj duniya mein hain sare raqsan
aaj ka raqs hai raqs-e-mahfil
tum jo ho sath hamare raqsan
raqs sikha hai bhanwar ne hum se
hum jo rahte hain kinare raqsan
raqs kartin hain nigahen meri
ya 'suman' hain ye nazare raqsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.