chāñd se apnī yaarī thī
zulmat bhī ujyālī thī
chīḳh thī dil ke gumbad meñ
hoñToñ par ḳhāmoshī thī
ek anokhā anubhau thā
ghaḌī milan kī nyārī thī
TuuTī kashtī patthar ret
sāmne sūkhī naddī thī
din meñ taare dekhe the
anhonī bhī honī thī
sāhil par thī aag hī aag
dariyā meñ tuġhyānī thī
hadd-e-nazar tak sahrā thā
sar par dhuup balā kī thī
lafz the sab pāyāb magar
baat nihāyat gahrī thī
'ābid' nā-mumkin thī jiit
vaqt kī chaal hī aisī thī
chand se apni yari thi
zulmat bhi ujyali thi
chiKH thi dil ke gumbad mein
honTon par KHamoshi thi
ek anokha anubhau tha
ghaDi milan ki nyari thi
TuTi kashti patthar ret
samne sukhi naddi thi
din mein tare dekhe the
anhoni bhi honi thi
sahil par thi aag hi aag
dariya mein tughyani thi
hadd-e-nazar tak sahra tha
sar par dhup bala ki thi
lafz the sab payab magar
baat nihayat gahri thi
'abid' na-mumkin thi jit
waqt ki chaal hi aisi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.