chand se pyar sitaron se shanasai bhi
chāñd se pyaar sitāroñ se shanāsā.ī bhī
ham ne dekhī hai ġham-e-dost kī rusvā.ī bhī
jalva-e-shahr-e-nigār aur nikhar aur sañvar
ham meñ dīvāne bhī maujūd haiñ saudā.ī bhī
jalva-e-shahr-e-nigār aur nikhar aur sañvar
ham meñ dīvāne bhī maujūd haiñ saudā.ī bhī
zehn meñ yuuñ tirī yādoñ ke nashe lahrā.e
ban gayā giit sukūt-e-shab-e-tanhā.ī bhī
aao phir lahja-e-gul meñ koī afsāna kaheñ
salb hotī hai kahīñ quvvat-e-goyā.ī bhī
ai ġham-e-dost tirā kaise burā chāheñge
jin se dekhī na ga.ī ġhair kī rusvā.ī bhī
hai vahī qāfila-e-fikr-o-nazar aur 'urūj'
zindagī shāh-nashīnoñ se utar aa.ī bhī
chand se pyar sitaron se shanasai bhi
hum ne dekhi hai gham-e-dost ki ruswai bhi
jalwa-e-shahr-e-nigar aur nikhar aur sanwar
hum mein diwane bhi maujud hain saudai bhi
jalwa-e-shahr-e-nigar aur nikhar aur sanwar
hum mein diwane bhi maujud hain saudai bhi
zehn mein yun teri yaadon ke nashe lahrae
ban gaya git sukut-e-shab-e-tanhai bhi
aao phir lahja-e-gul mein koi afsana kahen
salb hoti hai kahin quwwat-e-goyai bhi
ai gham-e-dost tera kaise bura chahenge
jin se dekhi na gai ghair ki ruswai bhi
hai wahi qafila-e-fikr-o-nazar aur 'uruj'
zindagi shah-nashinon se utar aai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.