chand shaKHon ki mina se Dhalta hua
chāñd shāḳhoñ kī miinā se Dhaltā huā
dard bachche kī sūrat machaltā huā
yaad kī bel āñkhoñ pe chaḌhtī huī
barg-e-tāza gulāboñ meñ paltā huā
ātish-e-jism par baaġh khilte hue
ek ghar tez bārish meñ jaltā huā
saḳht hote hue ābshāroñ ke lab
barf kī tarah mausam pighaltā huā
ek āñdhī makānoñ meñ paltī huī
ek parinda fazā meñ sambhaltā huā
chand shaKHon ki mina se Dhalta hua
dard bachche ki surat machalta hua
yaad ki bel aankhon pe chaDhti hui
barg-e-taza gulabon mein palta hua
aatish-e-jism par bagh khilte hue
ek ghar tez barish mein jalta hua
saKHt hote hue aabshaaron ke lab
barf ki tarah mausam pighalta hua
ek aandhi makanon mein palti hui
ek parinda faza mein sambhalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.