chand suraj se pare aur kahin chahte hain
chāñd sūraj se pare aur kahīñ chāhte haiñ
āsmāñ jis pe na ho aisī zamīñ chāhte haiñ
jis qadar duur hai kuchh aur ziyāda us se
ab samajh lo ki use kitnā qarīñ chāhte haiñ
ik tasavvur hai ki tujh se bhī mushābah hai bahut
ham use chāhte haiñ tujh ko nahīñ chāhte haiñ
ham zamīñ ke haiñ kisī ‘arsh-e-mu’allā ke nahīñ
ai ḳhudā faisla ham log yahīñ chāhte haiñ
vo hameñ aur junūñ aur junūñ chāhtā hai
ham use aur hasīñ aur hasīñ chāhte haiñ
'ishq hotā hai gumāñ us ko gumāñ honā thā
hai kamī apnī ki ham us ko yaqīñ chāhte haiñ
chand suraj se pare aur kahin chahte hain
aasman jis pe na ho aisi zamin chahte hain
jis qadar dur hai kuchh aur ziyaada us se
ab samajh lo ki use kitna qarin chahte hain
ek tasawwur hai ki tujh se bhi mushabah hai bahut
hum use chahte hain tujh ko nahin chahte hain
hum zamin ke hain kisi ‘arsh-e-mu’alla ke nahin
ai KHuda faisla hum log yahin chahte hain
wo hamein aur junun aur junun chahta hai
hum use aur hasin aur hasin chahte hain
'ishq hota hai guman us ko guman hona tha
hai kami apni ki hum us ko yaqin chahte hain
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 58)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.