Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand tare jise har shab dekhen

Anwar Anjum

chand tare jise har shab dekhen

Anwar Anjum

MORE BYAnwar Anjum

    chāñd taare jise har shab dekheñ

    ham bhī us shoḳh ko yārab dekheñ

    yuuñ mileñ un se ki apnā chehra

    vo bhī hairān huuñ kal jab dekheñ

    pahle bas dil ko ḳhabar thī dil

    ab vafā aam huī sab dekheñ

    qurb meñ kyā hai jo duurī meñ nahīñ

    tum jo aao to kisī shab dekheñ

    meñ hai phir kareñ iz.hār-e-vafā

    phir tire larze hue lab dekheñ

    maiñ ki huuñ ek āshufta ḳhayāl

    log har baat meñ matlab dekheñ

    jo kisī ne kabhī dekhe na sune

    vo tamāshe vo fusūñ ab dekheñ

    aaj to yuuñ gale lag jaao ki bas

    phir to jaane tumheñ kab kab dekheñ

    laakh patthar sahī vo but 'anjum'

    vo ghaḌī ham se mile tab dekheñ

    chand tare jise har shab dekhen

    hum bhi us shoKH ko yarab dekhen

    yun milen un se ki apna chehra

    wo bhi hairan hun kal jab dekhen

    pahle bas dil ko KHabar thi dil ki

    ab wafa aam hui sab dekhen

    qurb mein kya hai jo duri mein nahin

    tum jo aao to kisi shab dekhen

    ji mein hai phir karen izhaar-e-wafa

    phir tere larze hue lab dekhen

    main ki hun ek hi aashufta KHayal

    log har baat mein matlab dekhen

    jo kisi ne kabhi dekhe na sune

    wo tamashe wo fusun ab dekhen

    aaj to yun gale lag jao ki bas

    phir to jaane tumhein kab kab dekhen

    lakh patthar sahi wo but 'anjum'

    wo ghaDi hum se mile tab dekhen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now