chand taron mein ji nahin lagta
chāñd tāroñ meñ jī nahīñ lagtā
ḳhush nazāroñ meñ jī nahīñ lagtā
dil bujhā hai kuchh is tarah merā
ab bahāroñ meñ jī nahīñ lagtā
nāḳhudā mujh ko Duub jaane de
ab kināroñ meñ jī nahīñ lagtā
mutriba chheḌ ab na sāz-e-tarab
naġhma-zāroñ meñ jī nahīñ lagtā
dil bahaltā hai dil-nigāroñ meñ
ġham-gusāroñ meñ jī nahīñ lagtā
ye hasīñ shaam ye hasīn sahar
kohsāroñ meñ jī nahīñ lagtā
kyā karūñ sair-e-ābshār 'aḳhtar'
ābshāroñ meñ jī nahīñ lagtā
chand taron mein ji nahin lagta
KHush nazaron mein ji nahin lagta
dil bujha hai kuchh is tarah mera
ab bahaaron mein ji nahin lagta
naKHuda mujh ko Dub jaane de
ab kinaron mein ji nahin lagta
mutriba chheD ab na saz-e-tarab
naghma-zaron mein ji nahin lagta
dil bahalta hai dil-nigaron mein
gham-gusaron mein ji nahin lagta
ye hasin sham ye hasin sahar
kohsaron mein ji nahin lagta
kya karun sair-e-abshaar 'aKHtar'
aabshaaron mein ji nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.