chand taron ne dil rakha mera
chāñd tāroñ ne dil rakhā merā
in sahāroñ ne dil rakhā merā
aaj phir der tak saḌak dekhī
chand caroñ ne dil rakhā merā
mujh ko achchhā nahīñ lagā phir bhī
ġham-gusāroñ ne dil rakhā merā
hosh vāloñ ne mushkileñ diiñ aur
bāda-ḳhvāroñ ne dil rakhā merā
phuul jab muñh phulā ke baiTh ga.e
yaar ḳhāroñ ne dil rakhā merā
dukh to ye hai mujhe tire hote
duniyā-dāroñ ne dil rakhā merā
sab ne Thukrā diyā magar 'sohil'
dil ke māroñ ne dil rakhā merā
chand taron ne dil rakha mera
in sahaaron ne dil rakha mera
aaj phir der tak saDak dekhi
chand caron ne dil rakha mera
mujh ko achchha nahin laga phir bhi
gham-gusaron ne dil rakha mera
hosh walon ne mushkilen din aur
baada-KHwaron ne dil rakha mera
phul jab munh phula ke baiTh gae
yar KHaron ne dil rakha mera
dukh to ye hai mujhe tere hote
duniya-daron ne dil rakha mera
sab ne Thukra diya magar 'sohil'
dil ke maron ne dil rakha mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.