chand-taron ne koi shai to chhupai hui hai
chāñd-tāroñ ne koī shai to chhupā.ī huī hai
varna kyuuñ raat pareshānī meñ aa.ī huī hai
us meñ tabdīlī mirī āñkhoñ ko manzūr nahīñ
vo jo tasvīr mire dil ne banā.ī huī hai
marne detī hai na jiine kī ijāzat hai mujhe
ek shai aisī merī jaañ meñ samā.ī huī hai
ham banāte haiñ koī rāhguzar roz na.ī
roz dīvār zamāne ne uThā.ī huī hai
koī shikva hī nahīñ aur kisī se mujh ko
ye mirī jaañ to 'sabā' ḳhud kī satā.ī huī hai
chand-taron ne koi shai to chhupai hui hai
warna kyun raat pareshani mein aai hui hai
us mein tabdili meri aankhon ko manzur nahin
wo jo taswir mere dil ne banai hui hai
marne deti hai na jine ki ijazat hai mujhe
ek shai aisi meri jaan mein samai hui hai
hum banate hain koi rahguzar roz nai
roz diwar zamane ne uThai hui hai
koi shikwa hi nahin aur kisi se mujh ko
ye meri jaan to 'saba' KHud ki satai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.