chand tak apni nazar ka har safar achchha laga
chāñd tak apnī nazar kā har safar achchhā lagā
yuuñ falak kā ḳhvāb apnī aañkh par achchhā lagā
hai bahut dushvāriyāñ be-intihā haiñ imtihāñ
bāvajūd is ke bhī jīvan kā safar achchhā lagā
jo milī un se nazar ki luT gayā merā sukūn
aur hameñ nuqsān kā haañ ye bhī dar achchhā lagā
hoshiyārī hai nahīñ kirdār meñ us shaḳhs ke
vo hameñ chālākiyoñ se be-ḳhabar achchhā lagā
thā pata ye be-niyāzī lā.egī un ko qarīb
dekh kar tajvīz hotī kārgar achchhā lagā
hausla kam thā magar thā āsmāñ jab sāmne
khol denā mujh ko apne aaj par achchhā lagā
chand tak apni nazar ka har safar achchha laga
yun falak ka KHwab apni aankh par achchha laga
hai bahut dushwariyan be-intiha hain imtihan
bawajud is ke bhi jiwan ka safar achchha laga
jo mili un se nazar ki luT gaya mera sukun
aur hamein nuqsan ka han ye bhi dar achchha laga
hoshiyari hai nahin kirdar mein us shaKHs ke
wo hamein chaalakiyon se be-KHabar achchha laga
tha pata ye be-niyazi laegi un ko qarib
dekh kar tajwiz hoti kargar achchha laga
hausla kam tha magar tha aasman jab samne
khol dena mujh ko apne aaj par achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.