chand to Dub gaya dard gawara kar ke
chāñd to Duub gayā dard gavāra kar ke
merī āñkhoñ meñ ubharte rahe taare kyā kyā
ab agar Dasne lage haiñ to gila kyā karnā
āstīnoñ meñ to ḳhud saañp the paale kyā kyā
maiñ ne sochā hī thā duniyā kī haqīqat kyā hai
sāmne aane lage logoñ ke chehre kyā kyā
ḳhvāb āñkhoñ meñ utarte to utarte kaise
ḳhud se bezār huuñ jab raat ke maare kyā kyā
ab ye aalam hai mirī ḳhaak uḌātī hai havā
kabhī qadmoñ se lipaT jaate the raste kyā kyā
koī sahrāoñ se rishta hai yaqīnan 'ahmad'
merī jānib chale aate haiñ bagūle kyā kyā
chand to Dub gaya dard gawara kar ke
meri aankhon mein ubharte rahe tare kya kya
ab agar Dasne lage hain to gila kya karna
aastinon mein to KHud sanp the pale kya kya
main ne socha hi tha duniya ki haqiqat kya hai
samne aane lage logon ke chehre kya kya
KHwab aankhon mein utarte to utarte kaise
KHud se bezar hun jab raat ke mare kya kya
ab ye aalam hai meri KHak uDati hai hawa
kabhi qadmon se lipaT jate the raste kya kya
koi sahraon se rishta hai yaqinan 'ahmad'
meri jaanib chale aate hain bagule kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.