chand ubhrega to phir hashr dikhai dega
chāñd ubhregā to phir hashr dikhā.ī degā
shab kī pahnā.ī meñ har aks duhā.ī degā
mere chehre pe kisī aur kī āñkheñ hoñgī
phir kahāñ kis ko kisī or sujhā.ī degā
aap ne aañkh meñ jo ḳhvāb sajā rakkhe haiñ
un ko ta.abīr mirā dast-e-hinā.ī degā
merī hairat mirī vahshat kā pata pūchhtī hai
dekhiye kaun kise pahle rasā.ī degā
jis ne kānoñ pe biThā rakkhe haiñ Dar ke pahre
is ko kab shabd mirā koī sunā.ī degā
chand ubhrega to phir hashr dikhai dega
shab ki pahnai mein har aks duhai dega
mere chehre pe kisi aur ki aankhen hongi
phir kahan kis ko kisi or sujhai dega
aap ne aankh mein jo KHwab saja rakkhe hain
un ko tabir mera dast-e-hinai dega
meri hairat meri wahshat ka pata puchhti hai
dekhiye kaun kise pahle rasai dega
jis ne kanon pe biTha rakkhe hain Dar ke pahre
is ko kab shabd mera koi sunai dega
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 129)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.