chandi ka badan sone ka man DhunD raha hai
chāñdī kā badan sone kā man DhūñD rahā hai
auroñ maiñ hī achchhā.ī kā dhan DhūñDh rahā hai
kuchh peḌ haiñ nafrat kī havā jin se baḌhī hai
ye baaġh magar ab bhī aman DhūñD rahā hai
sañgam ke ilāqe se hai pahchān hamārī
ye dil to vahī gañg-o-jaman DhūñD rahā hai
anjān se ik ḳhauf ko Dhotā huā insān
apne ko bachāne kā jatan DhūñD rahā hai
gaañv ke har ik ḳhvāb meñ shahroñ kī kahānī
shahroñ meñ jise dekho vatan DhūñD rahā hai
logoñ ne yahāñ raam se sīkhā to yahī bas
har shaḳhs hī sone kā hiran DhūñD rahā hai
chandi ka badan sone ka man DhunD raha hai
auron main hi achchhai ka dhan DhunDh raha hai
kuchh peD hain nafrat ki hawa jin se baDhi hai
ye bagh magar ab bhi aman DhunD raha hai
sangam ke ilaqe se hai pahchan hamari
ye dil to wahi gang-o-jaman DhunD raha hai
anjaan se ek KHauf ko Dhota hua insan
apne ko bachane ka jatan DhunD raha hai
ganw ke har ek KHwab mein shahron ki kahani
shahron mein jise dekho watan DhunD raha hai
logon ne yahan ram se sikha to yahi bas
har shaKHs hi sone ka hiran DhunD raha hai
- Book : Itwar chhota pad gaya (Pg. 141)
- Author : Pratap Somvanshi
- Publication : Vani Prakashan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.