chandni ab to khae jati hai
chāñdnī ab to khaa.e jaatī hai
raushnī dil jalā.e jaatī hai
sub.h hogī kabhī nahīñ ma.alūm
tīrgī dil bujhā.e jaatī hai
zindagī dī ga.ī hai jiine ko
maut us ko miTā.e jaatī hai
koī apnā nahīñ zamāne meñ
be-kasī jī dukhā.e jaatī hai
kaash aa jaa.eñ vo achānak se
saañs ab laḌkhaḌā.e jaatī hai
marg-e-majnūñ se shor hai 'ḳhurshīd'
zindagī yuuñ bhī haa.e jaatī hai
chandni ab to khae jati hai
raushni dil jalae jati hai
subh hogi kabhi nahin malum
tirgi dil bujhae jati hai
zindagi di gai hai jine ko
maut us ko miTae jati hai
koi apna nahin zamane mein
be-kasi ji dukhae jati hai
kash aa jaen wo achanak se
sans ab laDkhaDae jati hai
marg-e-majnun se shor hai 'KHurshid'
zindagi yun bhi hae jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.