chandni jis ki dar-e-jaan pe hum aksar dekhen
chāñdnī jis kī dar-e-jāñ pe ham aksar dekheñ
kabhī us chāñd ko bhī haath se chhū kar dekheñ
kaise bhar leñ dar-o-dīvār pe āvezāñ haiñ
jis taraf dekheñ tirī yaad kā manzar dekheñ
kabhī bārish kī bhī rātoñ meñ na chamkī bijlī
yahī armān rahā ghar ko munavvar dekheñ
aañkh khul jaa.e to sahrā kī zamīñ par hoñ qadam
niiñd aa jaa.e to ḳhvāboñ meñ samundar dekheñ
TuuT jaane kā bhī imkān bahut hai is meñ
yuuñ kamānoñ kī tarah aap na khiñch kar dekheñ
shaam hote hī nikal aate haiñ taare 'fāḳhir'
ik sitāre kā magar rāsta shab-bhar dekheñ
chandni jis ki dar-e-jaan pe hum aksar dekhen
kabhi us chand ko bhi hath se chhu kar dekhen
kaise bhar len dar-o-diwar pe aawezan hain
jis taraf dekhen teri yaad ka manzar dekhen
kabhi barish ki bhi raaton mein na chamki bijli
yahi arman raha ghar ko munawwar dekhen
aankh khul jae to sahra ki zamin par hon qadam
nind aa jae to KHwabon mein samundar dekhen
TuT jaane ka bhi imkan bahut hai is mein
yun kamanon ki tarah aap na khinch kar dekhen
sham hote hi nikal aate hain tare 'faKHir'
ek sitare ka magar rasta shab-bhar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.