chandni ka ghurur ghaT jae
chāñdnī kā ġhurūr ghaT jaa.e
tere āñchal meñ jo simaT jaa.e
kaun jaane kab aa.egī vo sahar
niiñd jis ke liye uchaT jaa.e
mai chhalak jaa.e ābgīnoñ se
piite piite hī raat kaT jaa.e
dostī ke hasīn ujāloñ se
tīrgī nafratoñ kī chhaT jaa.e
mere paañv meñ beḌiyāñ haiñ abhī
vaqt shāyad kabhī palaT jaa.e
chandni ka ghurur ghaT jae
tere aanchal mein jo simaT jae
kaun jaane kab aaegi wo sahar
nind jis ke liye uchaT jae
mai chhalak jae aabginon se
pite pite hi raat kaT jae
dosti ke hasin ujalon se
tirgi nafraton ki chhaT jae
mere panw mein beDiyan hain abhi
waqt shayad kabhi palaT jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.