chandni mein saya-ha-e-kaKH-o-ku mein ghumiye
chāñdnī meñ sāya-hā-e-kāḳh-o-kū meñ ghūmiye
phir kisī ko chāhne kī aarzū meñ ghūmiye
shāyad ik bhūlī tamannā miTte miTte jī uThe
aur bhī is jalva-zār-e-rañg-o-bū meñ ghūmiye
ruuh ke darbasta sannāToñ ko le kar apne saath
hamhamātī mahfiloñ kī hāo-hū meñ ghūmiye
kyā ḳhabar kis moḌ par mahjūr yādeñ aa mileñ
ghūmtī rāhoñ pe gard-e-ārzū meñ ghūmiye
zindagī kī rāhateñ miltī nahīñ miltī nahīñ
zindagī kā zahr pī kar justujū meñ ghūmiye
kunj-daurāñ ko na.e ik zāviye se dekhiye
jin ḳhalāoñ meñ nirāle chāñd ghūmeñ ghūmiye
chandni mein saya-ha-e-kaKH-o-ku mein ghumiye
phir kisi ko chahne ki aarzu mein ghumiye
shayad ek bhuli tamanna miTte miTte ji uThe
aur bhi is jalwa-zar-e-rang-o-bu mein ghumiye
ruh ke darbasta sannaTon ko le kar apne sath
hamhamati mahfilon ki hao-hu mein ghumiye
kya KHabar kis moD par mahjur yaaden aa milen
ghumti rahon pe gard-e-arzu mein ghumiye
zindagi ki rahaten milti nahin milti nahin
zindagi ka zahr pi kar justuju mein ghumiye
kunj-dauran ko nae ek zawiye se dekhiye
jin KHalaon mein nirale chand ghumen ghumiye
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 303)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.