chandni raat hai aaj kitni sajal
chāñdnī raat hai aaj kitnī sajal
shāhrāh-e-mohabbat pe gaa.eñ ġhazal
ahl-e-ālam ko de kyoñ na deñ koī hal
mash.al-e-zindagī dhīme dhīme na jal
jāntā huuñ maiñ ye rasm-e-dār-o-rasan
do qadam haath meñ haath le ke tū chal
kaun jaagā hai yuuñ raat pichhle pahar
aañkh meñ ashk haiñ aur laboñ par ġhazal
regzār-e-ġham-e-zindagī se guzar
dekhte dekhte ḳhvāb-e-sub.h-e-azal
tū bhī nā-āshnā-e-sukūñ ho ga.ī
gardish-e-zindagī mujh se bach bach ke chal
apnī majbūri-e-dil bayāñ kyā karūñ
TūTte hī nahīñ hasratoñ ke mahal
haañ yahī kā.enāt-e-mohabbat hai bas
ik ġham-e-mustaqil ik hañsī be-mahal
mujh se 'iqbāl' ab koī kahtā to hai
merī ḳhātir girā merī ḳhātir sañbhal
chandni raat hai aaj kitni sajal
shahrah-e-mohabbat pe gaen ghazal
ahl-e-alam ko de kyon na den koi hal
mashal-e-zindagi dhime dhime na jal
jaanta hun main ye rasm-e-dar-o-rasan
do qadam hath mein hath le ke tu chal
kaun jaga hai yun raat pichhle pahar
aankh mein ashk hain aur labon par ghazal
regzar-e-gham-e-zindagi se guzar
dekhte dekhte KHwab-e-subh-e-azal
tu bhi na-ashna-e-sukun ho gai
gardish-e-zindagi mujh se bach bach ke chal
apni majburi-e-dil bayan kya karun
TuTte hi nahin hasraton ke mahal
han yahi kaenat-e-mohabbat hai bas
ek gham-e-mustaqil ek hansi be-mahal
mujh se 'iqbaal' ab koi kahta to hai
meri KHatir gira meri KHatir sanbhal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.