chandni raat hai main hun meri tanhai hai
chāñdnī raat hai maiñ huuñ mirī tanhā.ī hai
yaad aise meñ tirī dil meñ chalī aa.ī hai
vo daġhābāz hai zālim baḌā harjā.ī hai
phir bhī ye dil hai ki us kā hī tamannā.ī hai
vo mirī bazm-e-tasavvur meñ kuchh aise aa.e
jaise jannat mire āñgan meñ utar aa.ī hai
bāġh-e-firdaus hai sarqa tire husn-e-ruḳh kā
aur tafsīr-e-qayāmat tirī añgḌā.ī hai
na karūñ yaad maiñ tujh ko to ye dam ghuTtā hai
terī chāhat mujhe is moḌ pe le aa.ī hai
niiñd ojhal huī ḳhvāboñ kā safar ḳhatm huā
phir vahī maiñ vahī yādeñ vahī tanhā.ī hai
chandni raat hai main hun meri tanhai hai
yaad aise mein teri dil mein chali aai hai
wo daghabaz hai zalim baDa harjai hai
phir bhi ye dil hai ki us ka hi tamannai hai
wo meri bazm-e-tasawwur mein kuchh aise aae
jaise jannat mere aangan mein utar aai hai
bagh-e-firdaus hai sarqa tere husn-e-ruKH ka
aur tafsir-e-qayamat teri angDai hai
na karun yaad main tujh ko to ye dam ghuTta hai
teri chahat mujhe is moD pe le aai hai
nind ojhal hui KHwabon ka safar KHatm hua
phir wahi main wahi yaaden wahi tanhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.