chandni raat mein taron ki kahani likkhi
chāñdnī raat meñ tāroñ kī kahānī likkhī
jalva-e-jānāñ kī har ek nishānī likkhī
ho ke hāsil na huī aisī siyānī likkhī
tum ko ik hājat-e-nākām zabānī likkhī
maiñ ne har vaqt nayā dard sahejā dil meñ
us ne afsos mirī baat purānī likkhī
sāmne aa gayā duniyā ke mohabbat kā bharam
baat jab niklī to apnī hī javānī likkhī
narm-o-nāzuk lab-o-lahja vo talaffuz kī miThās
har kahānī meñ yahī tarz-e-bayānī likkhī
lafz ḳhāmosh hai ashkoñ kā labāda oḌhe
mauj-e-dariyā kī nahīñ ham ne ravānī likkhī
kab se likkhā hī nahīñ kuchh bhī qalam se mere
likhne baiThā to tirī merī kahānī likkhī
hāl-e-dil apnā koī dūsrā likhtā kyūñ-kar
dāstāñ apnī thī so apnī zabānī likkhī
chandni raat mein taron ki kahani likkhi
jalwa-e-jaanan ki har ek nishani likkhi
ho ke hasil na hui aisi siyani likkhi
tum ko ek hajat-e-nakaam zabani likkhi
main ne har waqt naya dard saheja dil mein
us ne afsos meri baat purani likkhi
samne aa gaya duniya ke mohabbat ka bharam
baat jab nikli to apni hi jawani likkhi
narm-o-nazuk lab-o-lahja wo talaffuz ki miThas
har kahani mein yahi tarz-e-bayani likkhi
lafz KHamosh hai ashkon ka labaada oDhe
mauj-e-dariya ki nahin hum ne rawani likkhi
kab se likkha hi nahin kuchh bhi qalam se mere
likhne baiTha to teri meri kahani likkhi
haal-e-dil apna koi dusra likhta kyun-kar
dastan apni thi so apni zabani likkhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.