chandni raat mein usne mujhe tanha rakkha
chāñdnī raat meñ us ne mujhe tanhā rakkhā
chāñd se bāteñ huiiñ mujh ko tarastā rakkhā
apne ġham-ḳhāne ko yādoñ se sajāyā ham ne
niiñd se phir na kabhī ḳhvāb kā rishta rakkhā
vo jo kahtā thā kabhī saath na chhoḌegā mirā
us ne sūraj kī tarah mujh ko bhī jaltā rakkhā
talḳh socheñ haiñ ki har baar bhaTak jaatī haiñ
us mohabbat ne bhī ham ko na kahīñ kā rakkhā
ai dil-e-ḳhasta maiñ māñgūñ bhī to kyā tere liye
tū ne ḳhud hī to zamāne se judā sā rakkhā
uTh khaḌī hotī hai har baar baġhāvat kar ke
naam beTī kā bhī jis maañ ne malāla rakkhā
vo jo mausam kī tarah ḳhud ko badal letā thā
mujh se rishta bhī kuchh us ne thā havā sā rakhā
phir mire shahr kī fōtpath pe tasvīr banī
maañ kī āġhosh meñ beTe kā hai lāsha rakkhā
ab to qismat se shikāyat na zamāne se gila
dukh to ye hai ki mujhe tū ne hī rusvā rakkhā
de de ḳhairāt mohabbat kī kabhī tū bhī mujhe
sāmne tere mire dil kā hai kaasa rakkhā
jab bhī tanqīd kisī par kabhī karnā chāhī
sāmne dil ke ḳhud apnā bhī sarāpā rakkhā
māh-o-anjum kī ziyā bhī ho muqaddar us kā
ziist meñ jis ne mirī aaj añdherā rakkhā
shahr-e-dil meñ hī basāyā hai nasheman apnā
ghar ke naqshe meñ tirī yaad kā naqsha rakkhā
sehn-e-gulshan meñ na.e phuul khilā karte haiñ
ik tirā naam 'tarannum' ne jo ġhuncha rakkhā
chandni raat mein us ne mujhe tanha rakkha
chand se baaten huin mujh ko tarasta rakkha
apne gham-KHane ko yaadon se sajaya hum ne
nind se phir na kabhi KHwab ka rishta rakkha
wo jo kahta tha kabhi sath na chhoDega mera
us ne suraj ki tarah mujh ko bhi jalta rakkha
talKH sochen hain ki har bar bhaTak jati hain
us mohabbat ne bhi hum ko na kahin ka rakkha
ai dil-e-KHasta main mangun bhi to kya tere liye
tu ne KHud hi to zamane se juda sa rakkha
uTh khaDi hoti hai har bar baghawat kar ke
nam beTi ka bhi jis man ne malala rakkha
wo jo mausam ki tarah KHud ko badal leta tha
mujh se rishta bhi kuchh us ne tha hawa sa rakha
phir mere shahr ki footpath pe taswir bani
man ki aaghosh mein beTe ka hai lasha rakkha
ab to qismat se shikayat na zamane se gila
dukh to ye hai ki mujhe tu ne hi ruswa rakkha
de de KHairaat mohabbat ki kabhi tu bhi mujhe
samne tere mere dil ka hai kasa rakkha
jab bhi tanqid kisi par kabhi karna chahi
samne dil ke KHud apna bhi sarapa rakkha
mah-o-anjum ki ziya bhi ho muqaddar us ka
zist mein jis ne meri aaj andhera rakkha
shahr-e-dil mein hi basaya hai nasheman apna
ghar ke naqshe mein teri yaad ka naqsha rakkha
sehn-e-gulshan mein nae phul khila karte hain
ek tera nam 'tarannum' ne jo ghuncha rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.